Pichchle
kuch dinon me do apnon ki laash uthayi hai maine
Dil zarur
dukha hoga unhe dekh kar
Ke phir kuch
likhne ke liye kalam uthayi hai maine
Laash insaan
nahi hoti
Insan so kar
uth jaate hain
Laash ki
neend puri nahi hoti
Insaan sans
lete hain
Laash ki
dhadkan saans nahi leti
Insaan baat
karte hain
Laash
ghamandi hoti hai
Kisi se baat
nahi karti
Insan hanste
bhi hain
Rote bhi
hain
Laash na
hansti hai
Na roti hai
Insan pyar
mangte hain
Laash kuch
nahi mangti
Insan ko
dard hota hain
Laash ko
dard hi nahi hota
Insane gale
lagte hain
Lash gale
lagne ki hath nahi badhati
Laash kuch
nahi karti
Bas chup chap
padi rehti hai
Na kuch
puchti hai
Na kuch
kehti hai
Ek din mai
bhi laash ho jaunga
Ek din tum
bhi laash ho jaoge
Ek din hum
sab laash ho jaege
Chup chap ek
gehri neend so jaenge
Laash insaan
nahi hoti
Insan laash
nahi hota
No comments:
Post a Comment