Plan like you will live forever. Live like you will die tonight. Yesterdays are dead. Tomorrow is not guaranteed and one day, I shall be right. Fight for your happiness. It's the only thing worth fighting for. The great Aristotle said those immortal words, “Happiness is the meaning and the purpose of life, the whole aim and end of human existence.” May you find yours.
Sunday, August 31, 2014
Laash
Pichchle
kuch dinon me do apnon ki laash uthayi hai maine
Dil zarur
dukha hoga unhe dekh kar
Ke phir kuch
likhne ke liye kalam uthayi hai maine
Laash insaan
nahi hoti
Insan so kar
uth jaate hain
Laash ki
neend puri nahi hoti
Insaan sans
lete hain
Laash ki
dhadkan saans nahi leti
Insaan baat
karte hain
Laash
ghamandi hoti hai
Kisi se baat
nahi karti
Insan hanste
bhi hain
Rote bhi
hain
Laash na
hansti hai
Na roti hai
Insan pyar
mangte hain
Laash kuch
nahi mangti
Insan ko
dard hota hain
Laash ko
dard hi nahi hota
Insane gale
lagte hain
Lash gale
lagne ki hath nahi badhati
Laash kuch
nahi karti
Bas chup chap
padi rehti hai
Na kuch
puchti hai
Na kuch
kehti hai
Ek din mai
bhi laash ho jaunga
Ek din tum
bhi laash ho jaoge
Ek din hum
sab laash ho jaege
Chup chap ek
gehri neend so jaenge
Laash insaan
nahi hoti
Insan laash
nahi hota
Shaadi Karale
Shaadi
kab kara raha hai
Shaadi
karale
Shaadi
kab kara rahi hai
Shaadi
karale
30
saal ka ho gya hai
Shaadi
karale
25
saal ki ho gyi hai
Shaadi
karale
Pyar
kisi se hua nahi
Shaadi
karale
Hua
bhi to tika nahi
Shaadi
karale
Bache
nahi honge tere
Shaadi
karale
Science
me likha hai ye
Shaadi
karale
Sex
karne ka mann nahi karta
Shaadi
karale
Tujme
koi kami hai kya
Shaadi
karale
Society
kya bolegi
Shaadi
karale
Log
kya bolenge
Shaadi
karale
Rishtedar
kya bolenge
Shaadi
karale
Kya
fayda padhai ka
Shaadi
karale
Kya
fayda job ka
Shaadi
karale
Sunny
Leone ki bhi ho gyi hai
Shaadi
karale
ND
Tewari ki bhi ho gyi hai
Shaadi
karale
Kam
waliyon ki bhi ho jati hai
Shaadi
karale
Career
set nahi hua
Shaadi
karale
Pyar
koi tika nahi
Shaadi
karale
Pyar
age hoga nahi
Shaadi
karale
Kisi
se bhi ab karale
Shaadi
karale
Caste
religion se ab matlab nahi
Shaadi
karale
Bhains
se karale
Shaadi
karale
Gaye
se karale
Shaadi
karale
Bitch
se karale
Shaadi
karale
Mar
ja nahi karani to
Shaadi
karale
Paida
hi kyu hua tha tu
Shaadi
karale
Paida
hi kyu hui thi tu
Shaadi
karale
Haye
Kismet phooti thi
Shaadi
karale
Chhad! Aine ni
karani! Maran de
Tidbits
Baarish ho
To bheega karo.
Badhappan ke naam par
Apne bachpane to na feeqa karo
Baarish ho
To bheega karo.
***
Aa do pal pas baithen
Kuch na kahen
Bas pas baithen
Kuch baatein chuppi
Behad gehrai se bayan karti hai
***
Afsos ye nahi ki unka ishq
Hame hasil na hua
Afsos ye hai ki
Apna ishq humne vaqt guzarne se pehle zahir na kiya
To bheega karo.
Badhappan ke naam par
Apne bachpane to na feeqa karo
Baarish ho
To bheega karo.
***
Aa do pal pas baithen
Kuch na kahen
Bas pas baithen
Kuch baatein chuppi
Behad gehrai se bayan karti hai
***
Afsos ye nahi ki unka ishq
Hame hasil na hua
Afsos ye hai ki
Apna ishq humne vaqt guzarne se pehle zahir na kiya
Subscribe to:
Posts (Atom)