Thursday, May 14, 2015

Couple of new couplets

Asaan nahi hai khud apni shaqseeyat banana
Shayad iseeliye aksar log kisi aur ki shaqseeyat par jee lete hain

*

Kaash kudrat ne is kadr na tadpaya hota
Jo khwab poora nahi karna tha
Vo khwab hi na dikhaya hota

Sunday, May 03, 2015

New Tidbits

Makan banaa lete hain log ghar tod ke

*

Dil se bura nahin hun mai
Kabhi ruth jao to bas itna yaad rakhna


*

Vo chhoti chhoti banton pe 
hamse rooth jate hain
Duniyawalon jaise lagte hain apne 
Jab gale nahin milte mohabbat se, Jab hath chhoot jate hain

Thursday, April 09, 2015

Kya top chalai?

Shadi sab karte hain
Tumne bhi karayi

Kya top chalayi?

*

Sambhog kiya to bache hue
akadte kyun ho
Mauj hi kari
Mehnat kya kari bhai

Kya top chalai?

*

Bache ho gaye
sabke hote hain
Unprotected karo
to bache hote hain
Tumne aise kya tikdam lagai?

Kya top chalai?

*

Ab humse kya umeed hai apko?
hain?
Kya chahte ho?
Tali bajaye
Wah wah karen...
Bhai hame baat samajh nahin ayi...

Kya top chalai?

*

Khud ka to ho gaya tumara
Hame salah bewajah mat do
Hame mat batao
Ke zindagi kya hoti hai Jamai

Kya top chalai?

*

Shadi ki
bache kiye
bachon ke bachon ke hue
Bachon ke bachon ke bache kiye
Zindagi papa dada nana mummy nani dadi
bas isi me ganwai.......

KYA TOP CHALAI?


Adatein ho gayin hain

Adatein ho gayin hain inkar ki
Akela chhod do hame
Baat na karo pyar ki
Adatein ho gayin hain inkar ki

*
 Na jaane itna mashhoor kyun hai
ye pyar ye mohabbat
Shayad dard baantna hi
Neeyat me hai sansar ki

*

Kiya tha hamne bhi pyar
Jo vo gaya to le gaya sath sab kuch
Mera vajood meri pehchan
Bas yadein de gaya Takrar ki

Baat na karo pyar ki

*

Unka Inkar hamse saha nahin jata
tumse kehte hain
Unse kaha nahin jata
Vo har baat par kal dhunda karte hain
Humse aj jiye bina raha nahin jata

*

Aj hi zindagi hai
Kaise samjhayen unhen
Kal ke liye aj humse
Thukraya nahin jata

*


Kuch yun hi...

Dil kehta hai kuch acha sa kahun
par keh nahi pata
Chalo jane do yar
Acha sa kehne se kahan tum hamare ho jaoge
Ho jaoge kya?

**

Na tu phone ko dekhe
Na mai phone ko dekhun
Chal, do pal ankh me ankh dal kar
Baat karein

**

Mujhi me Hindu hai. Mujhi me Muslim
Mujhi me Sikh hai. Mujhi me Christian
Khuda, Ram, Nanak, Jesus mujhme basta hai. Mai Hindustani hun.
Mujhe mat baanto. Mujhe mat baanto.

**

apni nazar me girne se
bada koi girna nahi hai

**

Zindagi adaton ka khel hai amar
Dard deti hai to dard Ki
Mehfilen deti hai to mehfilon Ki
Jo jholi me dalti hai zindagi
Uski adat bhi daal deti hai