Showing posts with label shayar-e-amar. Show all posts
Showing posts with label shayar-e-amar. Show all posts

Thursday, May 14, 2015

Couple of new couplets

Asaan nahi hai khud apni shaqseeyat banana
Shayad iseeliye aksar log kisi aur ki shaqseeyat par jee lete hain

*

Kaash kudrat ne is kadr na tadpaya hota
Jo khwab poora nahi karna tha
Vo khwab hi na dikhaya hota

Sunday, May 03, 2015

New Tidbits

Makan banaa lete hain log ghar tod ke

*

Dil se bura nahin hun mai
Kabhi ruth jao to bas itna yaad rakhna


*

Vo chhoti chhoti banton pe 
hamse rooth jate hain
Duniyawalon jaise lagte hain apne 
Jab gale nahin milte mohabbat se, Jab hath chhoot jate hain

Thursday, April 09, 2015

Kya top chalai?

Shadi sab karte hain
Tumne bhi karayi

Kya top chalayi?

*

Sambhog kiya to bache hue
akadte kyun ho
Mauj hi kari
Mehnat kya kari bhai

Kya top chalai?

*

Bache ho gaye
sabke hote hain
Unprotected karo
to bache hote hain
Tumne aise kya tikdam lagai?

Kya top chalai?

*

Ab humse kya umeed hai apko?
hain?
Kya chahte ho?
Tali bajaye
Wah wah karen...
Bhai hame baat samajh nahin ayi...

Kya top chalai?

*

Khud ka to ho gaya tumara
Hame salah bewajah mat do
Hame mat batao
Ke zindagi kya hoti hai Jamai

Kya top chalai?

*

Shadi ki
bache kiye
bachon ke bachon ke hue
Bachon ke bachon ke bache kiye
Zindagi papa dada nana mummy nani dadi
bas isi me ganwai.......

KYA TOP CHALAI?


Adatein ho gayin hain

Adatein ho gayin hain inkar ki
Akela chhod do hame
Baat na karo pyar ki
Adatein ho gayin hain inkar ki

*
 Na jaane itna mashhoor kyun hai
ye pyar ye mohabbat
Shayad dard baantna hi
Neeyat me hai sansar ki

*

Kiya tha hamne bhi pyar
Jo vo gaya to le gaya sath sab kuch
Mera vajood meri pehchan
Bas yadein de gaya Takrar ki

Baat na karo pyar ki

*

Unka Inkar hamse saha nahin jata
tumse kehte hain
Unse kaha nahin jata
Vo har baat par kal dhunda karte hain
Humse aj jiye bina raha nahin jata

*

Aj hi zindagi hai
Kaise samjhayen unhen
Kal ke liye aj humse
Thukraya nahin jata

*


Kuch yun hi...

Dil kehta hai kuch acha sa kahun
par keh nahi pata
Chalo jane do yar
Acha sa kehne se kahan tum hamare ho jaoge
Ho jaoge kya?

**

Na tu phone ko dekhe
Na mai phone ko dekhun
Chal, do pal ankh me ankh dal kar
Baat karein

**

Mujhi me Hindu hai. Mujhi me Muslim
Mujhi me Sikh hai. Mujhi me Christian
Khuda, Ram, Nanak, Jesus mujhme basta hai. Mai Hindustani hun.
Mujhe mat baanto. Mujhe mat baanto.

**

apni nazar me girne se
bada koi girna nahi hai

**

Zindagi adaton ka khel hai amar
Dard deti hai to dard Ki
Mehfilen deti hai to mehfilon Ki
Jo jholi me dalti hai zindagi
Uski adat bhi daal deti hai




Wednesday, December 03, 2014

Unhe lagta hai....

Hum Shiqayat zara kam karte hain
Unhe lagta hai
hame mohabbat nahi hain...


Hum tareef shayad kam karte hain
Unhe lagta hai
vo khuubsurat nahi hain


Hum akele kaat lete hain vaqt
Jab vo humse door hote hain
Unhe lagta hai
Hame unki zarurat nahi hai


Hamari ankhon me ansun ab kam ate hain
Unhe lagta hai
Hame dard ki adat nahi hai


Hame log sarfira kehti hai
Unhe lagta hai
hame ghulne milne ki fitrat nahi hai


Pyar mangna hamse hota nahi
Unhe lagta hai
Hame pyar ki shiddat nahi hai

Baat hum sar jhuka ke karte hain
Unhe lagta hai
Hamari haisiyat nahi hai

Shayad theek hi kehte honge zamane ke log
Unhe lagta hai
Mukhaute kaafi hain
Chehron ki zarurat nahi hain


Ye duniya ajeeb hai
ye tu ajeeb hai amar
Unhe lagta hai
Hame duniya ke koi matlab nahi hai









Wednesday, September 17, 2014

Rules and Couplets

write whatever you wanna write for others.
write poetry. for yourself.

--------------------------

Baatein mohabbat se kiya karo
Chehra to bas guftagu ka aghaz karwata hai
Zubaan jo khulti hai
Dil ka rang nazar aata hai

------------------------

Gale milne se 
Koi rog nahi hota
Mohabbat badhti hai
Sambhog nahi hota

-----------------------

Khush rehna ik ada hai yaro
Kisi kisi ko aati hai....
Sab kuch pakar
Kayi chehre udas hain

Aur Ik fizul se khilhaune se
Gareeb bachon ki hansi khilkhilati hai

------------------

Only people who dare to dream have a capacity for 

failure. It's easy to live a safe and mediocre life standing 

at the shore and laugh at the ones who venture into the 

sea. Easy. The ones who have the courage know they 

might end with nothing.... or everything. And they know 

that this bargain is a part of the game. 


Saturday, September 13, 2014

Kuch yun hi....

I like it
when it rhymes
you know, when it does
it sounds
like in wind....
the wind chimes.

----------------

awaaz deta hai hame un raaston se koi
jinhe hamare aane ki aas hai
ho sakta hai ye hamara hi vehem ko
kyunki hame hi un raaston ki beintehaan talaash hai

---------------

Vakt rukta nahi 
Beparwah hai 
vo dekho ik lamha guzar gaya
mujhse poocha bhi nahi 
ki kya maine use theek jiya
mai soch raha tha pichle lamhe ke baare me
ke ek aur lamha guzar gaya
ruk ruk ruk...

----------

ek zindagi
bas ek zindagi
kahiye kis tarazu me tolen
hum ye ek zindagi



Sunday, August 31, 2014

The Nonsense Rhyme

This summary is not available. Please click here to view the post.

Laash

Pichchle kuch dinon me do apnon ki laash uthayi hai maine
Dil zarur dukha hoga unhe dekh kar
Ke phir kuch likhne ke liye kalam uthayi hai maine

Laash insaan nahi hoti
Insan so kar uth jaate hain
Laash ki neend puri nahi hoti

Insaan sans lete hain
Laash ki dhadkan saans nahi leti

Insaan baat karte hain
Laash ghamandi hoti hai
Kisi se baat nahi karti

Insan hanste bhi hain
Rote bhi hain
Laash na hansti hai
Na roti hai

Insan pyar mangte hain
Laash kuch nahi mangti

Insan ko dard hota hain
Laash ko dard hi nahi hota

Insane gale lagte hain
Lash gale lagne ki hath nahi badhati

Laash kuch nahi karti
Bas chup chap padi rehti hai
Na kuch puchti hai
Na kuch kehti hai

Ek din mai bhi laash ho jaunga
Ek din tum bhi laash ho jaoge
Ek din hum sab laash ho jaege
Chup chap ek gehri neend so jaenge

Laash insaan nahi hoti

Insan laash nahi hota

Shaadi Karale

Shaadi kab kara raha hai
Shaadi karale
Shaadi kab kara rahi hai
Shaadi karale

30 saal ka ho gya hai
Shaadi karale
25 saal ki ho gyi hai
Shaadi karale
Pyar kisi se hua nahi
Shaadi karale
Hua bhi to tika nahi
Shaadi karale
Bache nahi honge tere
Shaadi karale
Science me likha hai ye
Shaadi karale

Sex karne ka mann nahi karta
Shaadi karale
Tujme koi kami hai kya
Shaadi karale 


Society kya bolegi
Shaadi karale
Log kya bolenge
Shaadi karale
Rishtedar kya bolenge
Shaadi karale
Kya fayda padhai ka
Shaadi karale
Kya fayda job ka
Shaadi karale

Sunny Leone ki bhi ho gyi hai
Shaadi karale
ND Tewari ki bhi ho gyi hai
Shaadi karale
Kam waliyon ki bhi ho jati hai
Shaadi karale 
Career set nahi hua
Shaadi karale
Pyar koi tika nahi
Shaadi karale
Pyar age hoga nahi
Shaadi karale

Kisi se bhi ab karale
Shaadi karale
Caste religion se ab matlab nahi
Shaadi karale


Bhains se karale
Shaadi karale
Gaye se karale
Shaadi karale
Bitch se karale
Shaadi karale

Mar ja nahi karani to
Shaadi karale
Paida hi kyu hua tha tu
Shaadi karale
Paida hi kyu hui thi tu
Shaadi karale

Haye Kismet phooti thi
Shaadi karale

Chhad! Aine ni karani! Maran de



Tidbits

Baarish ho
To bheega karo.
Badhappan ke naam par
Apne bachpane to na feeqa karo

Baarish ho
To bheega karo.

***
Aa do pal pas baithen
Kuch na kahen
Bas pas baithen

Kuch baatein chuppi
Behad gehrai se bayan karti hai

***
Afsos ye nahi ki unka ishq 
Hame hasil na hua
Afsos ye hai ki 
Apna ishq humne vaqt guzarne se pehle zahir na kiya




Sunday, January 05, 2014

The recent.

Khuda kare ke sari umra mujhe manzil na mile, bari mushkil se wo raazi hua hai saath chalne ko....

-shweta

----

Kabhi kabhi dil aur dimag ki behes me 
Dil jeet jata hai
Ye jaante hue
Ki dimag ki baat sahi thi
Aur use jeetne diya gaya

------

Jeena ab kuch to muje bha raha hai
Rozmarah ke palon me lutf aa raha hai

---------

Look at the poor with compassion. You could be there. Look at the mighty with confidence. You could be there.

--------

Baat baat ki baat hai
rishte bante toot te hain roz

---

Mai dheere dheere dauda Hun
Mai lambi daud ka ghoda Hun 
Dard se khoob vakif Hun
Par junooni kahan thoda Hun...

Mai lambi daud ka ghoda Hun

-----

Yun to marne se bhi darta nahi hu mai
Par kaun kehta hai
Ke maut se bade dar nahin hain.

-----

Aaj phir dil ne vo jurrat ki
Aaj phir adhe raste se laut aye 
Jaane tum hame rok dete ho
Ya hum hi ghabra jaate hain 

Baat phir ankahi reh gayi 
Ek din aur guzar gaya

---------

  • Lust is tangible. Love is not. This is what they mean when they ask 'what is love?'
-------

My resolution is to make people say about me more often....
'kya ajeeb admi hai yar'




Tuesday, October 08, 2013

Content Factory Recent!

Nahi garj hame ke vo bas
Ik bar gale laga le chala gaya
Is chhoti si zindagi me
Bas ik baar bahut tha
Gar vo dil chhu gaya hota
Kash vo dil chhu gaya hota

--------------------------------

Uski nazron ne vo baat is shiddat se kahi
Humne bewajah samjha phir zaban par gaur dena

------------------------------

Mohabbat ka dikhawa karne walon ki bheed lagi hai dekhiye
Kambakht bewajah mil jate hain 
kale dil, pyari si surten liye

Jhooda sa vakt guzarte hain
Aur mohabbat ko badnam karne kahin aur nikal jate hain

Bheed lagi hai dekhiye

------------------------------


So, what the fuck is your good name? 
Mine is Amar. I have 1000 other names which I don't think are good. 

#whatisyourgoodname

------------------------

Marketing doesn't sell products. Marketing sells sex appeal.

----------------------------

Apple users, especially female ones believe that Apple sourced their hotness to build the brand

So there are 2 kinds of I-phone buyers:

1. Who don't need it and want to feel superior to others anyfuckinhow
2. Refer to point 1

------------------------------

I belong. To Delhi

--------------------------

Weather is so bizarre in banga luru that some people are wearing monkey caps and some are running around in their undergarments.

--------------------------

The world is an ocean. You and I are waves.

--------------------------


Appetite and Happiness are similar in nature.
They need to be generated. every day.

--------------------------

'what do you like to do over the weekends' is a more useful question to get to know about people than 'what do you do?'

-----------------------

Lungi and dhoti are synonyms in principle.

-----------------------

Humne zindagi ki kishti ko 
Dolne se bahut bachaya
Vakt laga samajhne me
Ke kishti ke neeche lehren hain 

Dolna to fitrat hai kishti ki
Bewakufi par khud ki hans lete hain ab, jab kishti dolti hai
Maze lete hain hum

-----------------------------

You see the name is Amar. Ain't gonna die. 

'why have you got the immortal tattoo?'

---------------------------

Most of my jokes are so sexy that I am the only one who understands them.

-------------------------


Zindagi kis aur ja rahi hai
Na hame pata hai
Na zindagi ko malum hai
Sath chaloge? 

----------------------

Don't rush. To anywhere. Imagine, if the sperm that created you failed its biological destiny. Chill.

-------------------

Indian ghosts only kill bathing women. #Bollywood