Sunday, August 31, 2014

Laash

Pichchle kuch dinon me do apnon ki laash uthayi hai maine
Dil zarur dukha hoga unhe dekh kar
Ke phir kuch likhne ke liye kalam uthayi hai maine

Laash insaan nahi hoti
Insan so kar uth jaate hain
Laash ki neend puri nahi hoti

Insaan sans lete hain
Laash ki dhadkan saans nahi leti

Insaan baat karte hain
Laash ghamandi hoti hai
Kisi se baat nahi karti

Insan hanste bhi hain
Rote bhi hain
Laash na hansti hai
Na roti hai

Insan pyar mangte hain
Laash kuch nahi mangti

Insan ko dard hota hain
Laash ko dard hi nahi hota

Insane gale lagte hain
Lash gale lagne ki hath nahi badhati

Laash kuch nahi karti
Bas chup chap padi rehti hai
Na kuch puchti hai
Na kuch kehti hai

Ek din mai bhi laash ho jaunga
Ek din tum bhi laash ho jaoge
Ek din hum sab laash ho jaege
Chup chap ek gehri neend so jaenge

Laash insaan nahi hoti

Insan laash nahi hota

No comments: